![]() |
phuul the baadal bhii thaa aur vo hasii.n suurat bhii thii
phuul the baadal bhii thaa aur vo hasii.n suurat bhii thii
dil me.n lekin aur hii ek shaql kii hasrat bhii thii jo havaa me.n ghar banaaye kaash ko_ii dekhataa dasht me.n rahate the par taamiir kii aadat bhii thii kah gayaa mai.n saamane us ke jo dil kaa mudd'a kuchh to mausam bhii ajab thaa kuchh merii himmat bhii thii ajanabii shaharo.n me.n rahate umr saarii kaT ga_ii go zaraa se faasale par ghar kii har raahat bhii thii kyaa qayaamat hai "Munir" ab yaad bhii aate nahii.n vo puraane aashnaa jin se hame.n ulfat bhii thii |
Re: phuul the baadal bhii thaa aur vo hasii.n suurat bhii thii
nice..
|
All times are GMT +5. The time now is 01:21 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.