![]() |
Sokhay hont, sulagti aankhen, sarson jesa rang
Sokhay hont, sulagti aankhen, sarson jesa rang
barson bad woh dekh kay mujh ko reh jayay ga dang Maazi ka woh lamha mujh ko aaj bhi khoon rulayay ukhrdi ukhrdi baten uski gheron jaisa dhang taara bankar door ufaq par kalay larzay dolay kachchi daor say urdnay wali dekho aek patang Dil ko to pehlay hi dard ki deemak chaat gai thi rooh ko bhi ab khata jayay tanhaai ka zang Un hi kay sadqay ya rub meri mushkil kar aasan meray jaisay aur bhi hen jo dil kay haathon tang Sub kuch day kar hans di aur phir kehnay lagi taqdeer kabhi na poori hogi teray dil ki aek umang SHABNAM koi jo tujh say haray, jeet pe maan na karna jeet woh ho gi jab jito gi apnay aap say jang |
Re: Sokhay hont, sulagti aankhen, sarson jesa rang
Buht Kh00b
|
All times are GMT +5. The time now is 08:06 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.