![]() |
ranjish hii sahii, dil hii dukhaane ke liye aa...
ranjish hii sahii, dil hii dukhaane ke liye aa aa phir se mujhe chhoD ke jaane ke liye aa kuchh to mere pindaar-e-mohabbat* kaa bharam rakh tuu bhii to kabhii mujhko manaane ke liye aa pahle se maraasim* na sahii, phir bhii kabhii to rasm-o-rah-e-duniaa hi nibhaane ke liye aa kis kis ko bataayenge judaai ka sabab ham tuu mujh se Khafaa hai, to zamaane ke liye aa ek umar se huuN lazzt-e-giryaa* se bhii mahruum ae raahat-e-jaaN mujhko rulaane ke liye aa ab tak dil-e-Khushfaham ko tujh se haiN ummiideN yah aakhirii shamaeN bhii bujhaane ke liye aa.... |
Re: ranjish hii sahii, dil hii dukhaane ke liye aa...
very niceee
|
Re: ranjish hii sahii, dil hii dukhaane ke liye aa...
V Nice
|
All times are GMT +5. The time now is 04:41 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.