![]() |
aa, ki meree jaan ko qaraar naheeN hai.....
aa, ki meree jaan ko qaraar naheeN hai taaqat-e-bedaad-e-intazaar naheeN hai [ qaraar = rest/repose, bedaad = injustice ] dete haiN jannat hayaat-e-dahar ke badle nashsha ba_andaaza-e-KHummaar naheeN hai [ hayaat = life, dahar = world, ba_andaaza = according to, KHummaar = intoxication ] giriya nikaale hai teree bazm se mujh ko haay ! ki roone pe iKHtiyaar naheeN hai [ giriya = weeping, iKHtiyaar = control ] hamse 'abas hai gumaan-e-ranjish-e-KHaatir KHaak meiN ushshaaq kee GHubaar naheeN hai [ 'abas = indifferent, gumaan = suspicion, ranjish = unpleasantness, KHaak = ashes/dust, ushshaaq = lovers, GHubaar = clouds of dust ] dil se uThaa lutf-e-jalva haay ma'anee GHair-e-gul aainaa-e-bahaar naheeN hai [ ma'anee = meanings, GHair-e-gul = blossoms ] qatl ka mere kiya hai 'ahad to baare waae ! akhar 'ahad ustuwaar naheeN hai [ 'ahad = promise, baare = at last, ustuwaar = frim/determined ] toone qasam mai_kashee kee khaaee hai 'GHalib' teree qasam ka kuchch 'eitbaar naheeN hai ! [ mai_kashee = boozing, 'eitbaar = trust/faith ] |
Re: aa, ki meree jaan ko qaraar naheeN hai.....
Buhat Umda
|
All times are GMT +5. The time now is 10:25 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.