![]() |
Manoos Ahatoun Ki Sada.....
Gali mein paon ki manoos ahatoun ki sada Hui hai dar pe jo makhsoos hath ki dastak K jaisay aa hi gaya ho wo jis ne aana tha Magar jo dekhta hon khol kar mein darwaza Tou meri aankhon ko kuch bhi nazar nahi aata Main sochta hun k ye intezaar jaari rahay……… Agar milaap k dhagon ne hum ko jor diya Agar visaal k phoolon ko main ne choom liya Agar firaq ki raaton ko mein ne chor diya Main intezaar ki khushboo ko bhool jaon ga Main sochta hun k ye intezaar jaari rahay……… Jo meri aankh ki gehraiyon mein jhaank sakay Jo meray hath ki tehreer se shinasa ho Wo jis ke zehn ka saya bhi mera apna ho Wo jis ki subh bhi meri ho shaam bhi meri Main intezaar usi aadmi ka karta hun Jo meri soch ki galiyon mein roshni kar de Jo meray dekhnay ka daira wasee kar de Jo roz dil k kiwaron mein aa k jhaankti ho Jo meri shab k piyolon mein roshni bhar de Main intezaar usi roshni ka karta hun………. Wo jis ki chaon ki khushboo mein tu mila tha mujhe Wohi udaas shajar teri raah dekhta hai Wo waqaiya jo meri yaad ka sawaira hai Wo waqt jab k mein teray hi paas rehta tha Main intezaar usi zindagi ka karta hun……….. |
Re: Manoos Ahatoun Ki Sada.....
Zaberdast
|
Re: Manoos Ahatoun Ki Sada.....
nyc....
|
Re: Manoos Ahatoun Ki Sada.....
Very nice
Thanks for sharing |
All times are GMT +5. The time now is 04:19 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.