![]() |
Dil-e-man thaher abhi
Dil-e-man thaher,abhi door hain Sabhi manzilein,sabhi raaste Abhi na tamaam hain marhale ... Koi hum rakaab hua naheen Abhi khaawb,khaawb hua naheen Hue lafz mere raqam kahan Keh hunar kitaab hua naheen Koi hum nafas,koi khoob-roo Meri chashm-e-tar mein utar to le Koi naqsh dil pe ubhar to le Koi rang sham-e-visaal ka Koi nor subh-e-jamaal ka Rah-e-zindagi se guzar to le Abhi fitna gar hain,shikasta roo Woh musafatein jo na tai huein Dil-e-man theher keh hawa chale To zameen ka rizq bahaal ho Koi ranj ho na malaal ho Wahan baadshahoon ka sar jhuke Jahan koi dast-e-swaal ho |
Re: Dil-e-man thaher abhi
Nice Lines
|
Re: Dil-e-man thaher abhi
Nice ..
|
Re: Dil-e-man thaher abhi
Thanks Shayan
|
Re: Dil-e-man thaher abhi
Thanks Careless
|
Re: Dil-e-man thaher abhi
good..
|
Re: Dil-e-man thaher abhi
Thanks Maple
|
All times are GMT +5. The time now is 09:48 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.