![]() |
Badli badli si sadaa deti hai dharkan dil ki
Meri aankhon mein umadd aaya hai dariya dil ka
Phir kaheen toot gayaa ho na kinaara dil ka Bas mohabbat se riwaayat hai kahaani dil ki Chaar harfon se ibaarat hai fasaana dil ka Saans rukti hai to phir jaa'n ka khayaal aata hai Dil dharakta hai to lag jaata hai dharkaa dil ka Isi koshish mein bohat umar ganwaa di maine Phir bhi poora na huwaa mujh se khasaara dil ka Meri payaab tamannaain bataati hain mujhay Sookh jaaiy ga koi roz mein dariyaa dil ka Badli badli si sadaa deti hai dharkan dil ki Hijr mein or he ho jaata hai lehjaa dil ka Kiyoon na aiy dost abhi tark-a-mohabbat kar lein Is se pehlay ke badal jaaiy iraada dil ka Fikr-a-duniya mein mere dil ko bhullanay waalay Teri duniya se zayaada hai asaasa dil ka Ishq kaatay ga abhi or chataanein SAAGAR Aqal dekhay gi abhi or tamaasha dil ka |
Re: Badli badli si sadaa deti hai dharkan dil ki
Bht Khub..
|
Re: Badli badli si sadaa deti hai dharkan dil ki
Thanks
|
All times are GMT +5. The time now is 09:08 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.