![]() |
khirkiyon ko khol karr taza hawa daita hai kau
khirkiyon ko khol karr taza hawa daita hai kaun
hath main barish k mausam ka pata daita hai koun meri aankhain bandh hain aur dhyan k rasstey khule rooh k ander utar kar aaina daita hai koun tum mujhe ye kaun se waqto'n main aa kar mill gaye umr k iss morh par kiss ko sada daita hai koun koun hai jiss k liye ikk umr se be chain hoon umr bhar ki be-kali pal mai barha daita hai koun koun hai jo raat bhar aawaz daita hai mujhey aur din bhar apni khamoshi suna daita hai koun koun hai jo khab rakkh daita hai sooni aankh mai nind mai bhi jagtey manzar dikha daita hai koun koun hai jis key liye nazmain kahey jaati ho tum iss zamane mai kisi ko you'n dua diata hai koun |
Re: khirkiyon ko khol karr taza hawa daita hai kau
Zaberdast
|
Re: khirkiyon ko khol karr taza hawa daita hai kau
Nice..
|
Re: khirkiyon ko khol karr taza hawa daita hai kau
thanks
|
All times are GMT +5. The time now is 08:58 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.