![]() |
Chalo Kuch Dair hanste hain
Chalo Kuch Dair Hanstay Hain Mohabbat Par, Inaayat Par Kay Be-Bunyad Baatain Hain Sabhi Rishtay Sabhi Naatey Zarurat Ki Hain Ejaadain Kahin Koi Nahi Marta Kisi Kay Waastay Jaana Kay Sab Hair Phair Lafzon Ka Hai Saara Khel Harfon Ka Na Hai Mehboob Koi Bhi Mohabbat Na Zamanay Main Para'eay Bhi Hain Phir Apney Agar Hai Kuch Khazanay Main Kay Is Jazbay Pay Ab Aksar Sabhi Jumlay Say Kastay Hain Chalo kuch dair hanstay hain... Usi Ko Yaad Kartay Hain Jisay Hum Zeest Kehtey Thay Kay Lena Saans Bin Jis Kay Hamain Aik Jurm Lagta Tha Kay Jis Kay Sung Har Aik lamha Khush-o-Khuram Sa Lagta tha Jisay Hum Zindagi Kehtey Jisay Thay Sha'iry Kehtey Ghazal Ka Qaafiya Tha Jo Nazm Ka Jo Kay Unwan Tha Woh Lehja Jab Badalta Tha Qayamat Khez Lagta Tha Waqt Say Aagay Chalta Tha Bala Ka Taiz Lagta Tha Jo Saaya Ban Kay Rehta Tha Juda Ab Is Kay Rastay Hain Chalo Kuch Dair Hanstay Hain!! Chalo Kuch Dair Hanstay Hain! |
Re: Chalo Kuch Dair hanste hain
Zaberdaxt
|
Re: Chalo Kuch Dair hanste hain
ShukRiyAaa :)
|
All times are GMT +5. The time now is 10:07 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.