![]() |
shnasa hun fareb-e-zindagi se
Dua ka silsila baaqi rahey ga
so tum se raabeta baaqi rahey ga Adam ho jaayega, maujood hae jo faqat dast-e-fanaa baaqi rahey ga Tumhey paa loon magar ye waahima hae kahin ik marhala baaqi rahey ga Ana ke daa'ery takra na jaa'en bus itna faasla baqi rahey ga Bja ke aks mit-tey ja rahey hen shikasta aaina baqi rahey ga Tumhe jaana tha tum se kya gila ho hamen khud se gila baqi rahe ga Usi ki jeet ho gi aakhir-e-shab hawa me jo diya baaqi rahey ga Dam-e-rukhsat plat kr dekhna mat kahan phir hosla baaqi rahey ga shnasa hun fareb-e-zindagi se wafa ka tajruba baqi rahey ga |
Re: shnasa hun fareb-e-zindagi se
Buht Khub
|
Re: shnasa hun fareb-e-zindagi se
thanks
|
All times are GMT +5. The time now is 11:42 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.