![]() |
Sahil tamam ashk_e nadamat sey att gaya
Sahil tamam ashk_e nadamat sey att gaya
dariya sey koi shakhs tu piyasa palat gaya lagta hay be-karaa.n mujhe sehra main aasmaa.n pohancha jo bastiyoo.n main tu khanoo.n main batt gaya ya itna sakht jaan k talwaar be-asar ya itna narm k rag_e gull sey katt gaya bahoo.n main aa saka na haweeli ka ik satoon putli main aankh ki, sehra simat gaya ab koun jay ko_e malamat ko chorr kar qadmoo.n sey aa gey apna hi saya lipat gaya gunbad ka kiya qasoor isey kiyu kahoo.n bura aaya jidher sey teer, udher hi palat gaya rakhta hay khud sey koun hareefana kashmakash main tha k raat apney muqabil main datt gaya jis ki amaa.n main hoon wohi ukta gaya na ho bondain ye kiyu barasti hain, badal tu chatt gaya wo lamha_e shaoor jisey jaa.n kani kahain chehrey sey zindagi ki naqabain ulat gaya thokar sey mera paoo.n tu zakhmi howa zoror rastey main jo khara tha wo kohsaar hatt gaya ik hashr sa bapa tha merey dill main ay Shakeb kholee.n ko khirkiyaa.n tu zara shor ghatt gaya |
Re: Sahil tamam ashk_e nadamat sey att gaya
Gud 1 ..
|
Re: Sahil tamam ashk_e nadamat sey att gaya
thanks
|
All times are GMT +5. The time now is 09:53 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.