![]() |
Meray wahm-o-guman say bhi ziadah roth jata hai
Meray wahm-o-guman say bhi ziadah roth jata hai Ye dil apni hadoon main reh kar itna toot jata hai Main roun to dar-o-dewaar mujh pe hansnay lagtay hain Hanson to meray andar janay kya kya toot jata hai Main jis lamhay ki khawhish main safar karta hon sadiyon ka Kahin paon talay aa kar wo lamha toot jata hai Meray khawabon ki basti say janazay uthtay jatay hain Meri aankhain jisay chhu lain wo sapna toot jata hai…. |
Re: Meray wahm-o-guman say bhi ziadah roth jata hai
V Niceeee
|
All times are GMT +5. The time now is 12:07 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.