![]() |
Ankhon mein sama jatay ya dil mein utar jatay
Ankhon mein sama jatay ya dil mein utar jatay Dono ka bhala hota dono he sanwar jatay Miltay to yeh acha tha jeevan ki musafat mein Kuch faslay kam hotay kuch roz guzar jatay Doori bhi aas hay ik ghanimat to hay warna Jo aas pay jeetay hein wo log bikhar jatay Kuch roz judai k iss haal mein bhi guzray Hanstay howay ro detay ,rotay howay ghar jatay Manzil hay na thikana hay acha hay kuch bhi nahi Ruktay to kahan ruktay ,jatay to kidhar jatay Guzra hay yeh aalam bhi tanhai k jungle mein Bay khof phira kartay phir aap he dar jatay Bayganggi yeh kasii aay dost maza tab tha Kuch log idar atay kuch log udar jatay Aik saath raha karna phir us par guraiz "Aamir" Maqsood thi doori to meelon say guzar jatay |
Re: Ankhon mein sama jatay ya dil mein utar jatay
very nice
|
Re: Ankhon mein sama jatay ya dil mein utar jatay
very nice
|
All times are GMT +5. The time now is 06:20 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.