![]() |
yaad rakhnay wali batain
Ehsaan ki qaid Sab se bari qaid hai.
*Ghum aur insaan jurwaan paida huye hain *hoot duniya kay har mazhab main mana hai. *Zindagi musalsal jadojehad aur himmat ka naam hai *Khushi bahaar ki aur watq dhalti chahoun ki manand hai. *Apni ghaltiyon ka ehsaas hi kamiyaabiyon ki kunji hai *Pehelwaan woh nahiin jo dosron ko bichaar de Balkay woh hai jo apnay ghussay main apnay ap ko qaboo rakhay. *Jafakash aur mehnati kabhi bhooka nahiin sota *adab insaan ka zevar hai usay kabhi nahiin utarna chahiye 8Ghussay main zabaan ki aur dastarkhawan par pait ki hifazat karo. *Shak aik zeher alood khanjar ki manand hai jo ahista ahista dil main piwast ho kar zeher phelata rehta hai phir rooh ko khokla kar deta hai. *Humesha sach bolo takay tumhein qasam khanay ki zarorat na rahay. *Insaan zaban kay parday main chupa hai. *Mushkilaat main ghabrana nahiin chahiye kyun kay Sitaray humesha andheray main hi chamaktay hain Allah ki rehmat se mayoos nahiin hona chahiyeChahay halaat kaise hi na saazgaar kyun na hon... *Mehnat aur hunar mandi kay agay kuch bhi na mumkin nahiin. __________________ |
Re: yaad rakhnay wali batain
nyc....
|
Re: yaad rakhnay wali batain
thanks
|
Re: yaad rakhnay wali batain
Beautiful Words Rose
|
Re: yaad rakhnay wali batain
Buht Khoob
|
Re: yaad rakhnay wali batain
Thanksssssssss
|
All times are GMT +5. The time now is 12:47 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.