![]() |
Meray sabar ko aazma raha tha Wo meray qareeb aa raha tha!
Meray sabar ko aazma raha tha
Wo meray qareeb aa raha tha! Usay dar tha ke mein bichadh na ja’on Mujhay apna yaqi’n dila raha tha Kisi aur ki mein samajh na pa’oon Mujhay aisi zaba’n sikha raha tha! Ye jaha’n gul aur qamr-o-saba Mujhay sub se hasi’n batla raha tha Ik din mujh se milnay youn aaya Ke sara badan uska sharma raha tha! Ye aadat bhi uski badi dilruba thi Nigahain jhuka ker wo muska raha tha! Juda hoke mujh se wo ik roz baad Mila youn ke pal pal ginwa raha tha |
Re: Meray sabar ko aazma raha tha Wo meray qareeb aa raha tha!
nice sharing
|
Re: Meray sabar ko aazma raha tha Wo meray qareeb aa raha tha!
thanks
|
All times are GMT +5. The time now is 06:56 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.