![]() |
Ek Din Chaand Se Bicharna Hai
Ek Din Chaand Se Bicharna Hai
Aankh, Taqdeer Aur Ta’aluq Jo Jaane Kis Doosre Ke Bas Mai Hain Saanp Ban Ban Ke Daste Rehte Hain Apni Saanson Mai Dobte Dil Ko Chaand Jis Tarz Ka Musafir Hai Hijr Hi Hai Ke Jo Paraao Mai Hai Bas Judaai Ko Hai Thehr Jana Hum To Shikwa Bhi Kar Nahi Sakte Aur Tanhaaiyon Se Shikwa Kiya Chaand Be-Chainiyon Ka Mosam Hai Beet Jane Pe Bhi Hamesha Hi Apne Aasaar Chor Jata Hai Yeh Meri Aankh Ke Sulagte Hue Zard-Ro Aeinon Ki Nam-Naaki Sab Issi Dard Ki Nishaani Hai Yeh Mera Be-Sabab Hi Khush Rehna Sab Issi Gham Ki Azmaish Hai Ek Khuwahish Hai Jis Ko Marna Hai Ek Jeewan Jise Ujarna Hai Ek Din Chaand Se Bicharna Hai |
Re: Ek Din Chaand Se Bicharna Hai
Buht Kh00b
|
Re: Ek Din Chaand Se Bicharna Hai
thanks
|
All times are GMT +5. The time now is 08:33 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.