![]() |
poetry
Batata hai mujhe aaina kaisi berukhi se
Ke main mehroom hota ja raha hoon roshni se Kise ilzaam doun mein rai'gan honay ka apnay Ke saare faisley mein ne kiye khud hee khushi se Her ek lamha rehti hai taza ik shikayat Kabhi tujh se , kabhi khud se , kabhi is zindagi se Mujhe ab tuk bohut khahish thi khud se guftugu ki Mein chupta phir raha hoon aaj apnay aap hee se Jo chahe wo sitam mujh per rawa rukhay ye duniya Mujhe youn bhi tawaqa ab nahi kuch bhi kisi se. |
Re: poetry
Zaberdast
|
All times are GMT +5. The time now is 11:11 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.