![]() |
Na yaqee'n wajood pey kar ke, na rida e yaas men aaon ga
Na yaqee'n wajood pey kar ke, na rida e yaas men aaon ga
Jo libas tujh ko pasand ho, main usi libaas men aaon ga Mujhey raygaa'n na talash ker, main safar men tha, main safar men hoon Kabhi noor e harf ki raah sey, dil e khud'shanaas men aaon ga Tu hey ajnabi meri zaat sey, kabhi pooch kerb ki raat sey Main nehaa'n hoon maoj e faraat sey,main nazar to pyaas men aaon ga Mujhey doosron sey talab na ker, mujhey khud sey mang key dekhna Main barang e aks e gohar numa, kaf e iltamaas men aaon ga Meri justjo ney jo dam lia, meray bekaraa'n ney kaha mujhey Ke main aagahi sey hoon mawara, na had e hawaas men aaon ga Mujhey ab tu shok sey bhool ja, ye naz kam to nahi ke main Teri chahto'n ki kitab key, kisi iqtabaas men aaon ga Kabhi mujh ko MOHSIN, naey dinon ki, tapash men dhonday ga, wo kahin Kabhi yad us ko, gaey dinon key, safar ki baas men, aaon ga |
Re: Na yaqee'n wajood pey kar ke, na rida e yaas men aaon ga
Mujhey doosron sey talab na ker, mujhey khud sey mang key dekhna
Main barang e aks e gohar numa, kaf e iltamaas men aaon ga Kya Bat Kahi |
Re: Na yaqee'n wajood pey kar ke, na rida e yaas men aaon ga
thanks
|
Re: Na yaqee'n wajood pey kar ke, na rida e yaas men aaon ga
nyc....
|
Re: Na yaqee'n wajood pey kar ke, na rida e yaas men aaon ga
thanks
|
All times are GMT +5. The time now is 11:45 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.