![]() |
ab mera shauq e safar, daar tak aa pohncha hai
silsila jurrat e izhaar tak, aa pohncha hai
ab mera shauq e safar, daar tak aa pohncha hai sham ab iskay siwa aur bhala kya ho gi ab to saya meri deevar tak aa pohncha hai usko taabeer Khuda janay milegi k nahee'n khaab to deeda e baidaar tak aa pohncha hai aur barh jayegi arzaani e baazar k abb biknay wala hii kharidar tak aa pohncha hai tu bata dai k ab tera irada kya hai? ishq mera teray maiyyaar tak aa pohncha hai ab beher taur koi faisla karna ho ga mass'ala abb meray pindar tak aa pohncha hai sar jhukana teri aadat bhi nahee'n hai AKHTAR aur hath uska bhi talwaar tak aa pohncha hai |
Re: ab mera shauq e safar, daar tak aa pohncha hai
V Nice
|
Re: ab mera shauq e safar, daar tak aa pohncha hai
thanks
|
All times are GMT +5. The time now is 01:15 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.