![]() |
Zindagi kay Mele mein
Zindagi kay Mele mein Zindagi k Mele may Khwahishon k relay tum se kyaa kahen jaanaa is qadar jhamele mein vaqt kii ravaanii hai baKht kii giraanii hai saKht bezamiinii hai saKht laamakaanii hai hijr ke samandar me.n taKht aur taKhte kii ek hii kahaanii hai tum ko jo sunaanii hai baat go zaraa sii hai baat umr bhar kii hai umr bhar kii baate.n kab do gha.Dii me.n hotii hai.n dard ke samandar me.n anginat jaziire.n hai.n beshumaar motii hai.n aa.Nkh ke dariiche me.n tum ne jo sajaayaa thaa baat us diye kii hai baat us gile kii hai jo lahuu kii Khilvat me.n chor ban ke aataa hai lafz ke fasiilo.n par TuuT TuuT jaataa hai zindagii se lambii hai baat rat_jage kii hai raaste me.n kaise ho baat taKhaliye kii hai taKhaliye kii baato.n me.n guftaguu izaafii hai pyaar karane vaalo.n ko ik nigaah kaafii hai ho sake to sun jaao ek din akele me.n tum se kyaa kahe.n jaanaa.N is qadar jhamele me.n |
Re: Zindagi kay Mele mein
کیا بات ہے زبردست |
Re: Zindagi kay Mele mein
nice 1
|
Re: Zindagi kay Mele mein
graet post
|
Re: Zindagi kay Mele mein
thanks
|
Re: Zindagi kay Mele mein
gr8 sharing
|
All times are GMT +5. The time now is 02:49 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.