![]() |
Ik naee Ghazal Teray Naam
Ik naee Ghazal Teray Naam Keeay Baithay Hein
Baat Tanhaee ki Sar-e-Aam Keeay Baithay Hein Ik Pardah Nasheen buhat Haseen Chehray ko Bazm-e-Ehsaas mein Gulfaam Keeay Baithay Hein Baat kartay hein Wo meri Zubaan se aur Soch apni mujhay Ilhaam Keeay Baithay Hein Kar k Haavi Wo khud ko meri Hasti pe Ik Jahaan mein mujhay Gumnaam Keeay Baithay Hein Sangdil ko ye Baat b Khatki Ho gi Sangraizon pe Ham Aaraam Keeay Baithay Hein Wasal ki Shab shaid k Fursat na milay Shikway Sab wo Sar-e-Sham Keeay Baithay Hein Kabhi Maikhanay mein aa k Khud daikho Naam teray hi sab Jaam Keeay Baithay Hein Khud uljh jaatay hein kharafat mein sab Zulf-e-Jaanaan yoonhi Badnaam Keeay Baithay Hein Tum Hamain chahtay ho Gharri do Pal ko Ham toh Jeevan hi Teray Naam Keeay Baithay Hein:flower4u: |
very nyc ali je
|
shukria :)
|
nice
|
very nice..
|
lash yaar
|
nyc 1
|
wow
|
bahut shukria :)
|
achi poetry hy
|
All times are GMT +5. The time now is 06:25 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.