![]() |
Ab to unka Toor par b Saamna hota Nahi
http://img804.imageshack.us/img804/4...spicturesz.jpg
Ek wada hai kisi ka jo wafa hota nahi Warna in taar'un bhari raaton mein kia hota nahi Ji mein ata hai ulat dein un k chehrey se naqaab Hosla kartey hain lakin hosla hota nahi Shama jis ki abro pe jaan de de jhoom kar Woh patanga jal to jata hai Fana hota nahi Ab to muddat se rah o rasm e nazara band hai Ab to unka toor par b saamna hota nahi Har shanawar ko nahi milta talatum se kharaaj Har safeeney ka muhafiz Na-khuda hota nahi Har bhikaari pa nahi sakta muqaam e khawajgi Har kis'o'nakis ko Tera ghum ata hota nahi Haye yeh begaangi apni nahi mujh ko khabar Haye yeh aalam k tu dil se juda hota nahi Baar ha dekha hai Sagar rahguzaar-e-Ishq mein Karwaan k saath aksar reh-numa hota nahi |
Re: Ab to unka Toor par b Saamna hota Nahi
Solid one
|
Re: Ab to unka Toor par b Saamna hota Nahi
Thnx !
|
Re: Ab to unka Toor par b Saamna hota Nahi
Bohat Aa'laa Mahi (Y)
|
Re: Ab to unka Toor par b Saamna hota Nahi
Thnx !
|
All times are GMT +5. The time now is 02:32 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.