![]() |
tujhe dhoondti rahi chashm-e tar, tera naam wird-e zubaan raha
tujhe dhoondti rahi chashm-e tar, tera naam wird-e zubaan raha
na haram ka mujh ko khayal tha na sanam kaday ka gumaan raha teri chashm-e naaz ka maikada mujhe be-nyaz sa kar gya na sha'oor-e kon-o makaan raha na khayal-e sod-o zyan raha karrhay waqt mein jo main ghir gaya teri yaad hi bani mojza shab-hijr mein bhi aye jaan-e jan teri qurbaton ka samaa raha mujhe zindagi say bhi pyar tha mujhe ishq say bhi theen aqeedatein go bohat katthin thay ye raaste tera sath tha main rawaan raha |
Re: tujhe dhoondti rahi chashm-e tar, tera naam wird-e zubaan raha
بہت عمدہ شاعری |
Re: tujhe dhoondti rahi chashm-e tar, tera naam wird-e zubaan raha
karrhay waqt mein jo main ghir gaya teri yaad hi bani mojza
shab-hijr mein bhi aye jaan-e jan teri qurbaton ka samaa raha Awsummmm |
Re: tujhe dhoondti rahi chashm-e tar, tera naam wird-e zubaan raha
thanks
|
All times are GMT +5. The time now is 01:56 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.