![]() |
--- hath uthein abhi ---
aayeh hath uthein hum bhi hum jinhein rusm-e du'aa yaad nahin hum jinhein soz-e muhabat ke siwa koi buth, koi khuda yaad nahin aayeh urz guzarein keh nigar-e hustee zehar-e imroz mein shirenya furda bhar de wo jinhein taab-e garaan bary-a iyaam nahin un ki pulkoon peh shaub-e roz ko hulka ker de jin ki aankhoon ko roz-e subh ka yaara bhi nahin un ki raatoon mein koi shuma munawar ker de jin ke kadumoon ko kisi reh ka sahara bhi nahin un nazroon peh koi raah ujagar ker de jin ka deeN pariw-e kizb-o riya hai un ko himet-e kufr mile, jurat-e tehqiq mile jin ke sir muntazar-e tegh-e jafa hein un ko dust-e qatil ko jatuk deenay ki taufiq mile ishq ka sir-e nihaaN jaan tapaaN hai jis se aaj iqrar karein aur tapish mit jaa'e hurf-e haq dil mein khatakta hai jo kante ki turhaaN aaj izhar karein aur khalish mit jaaye.. |
nice
|
nice
|
:)nice poetry
|
ty chemo
|
ty hafsa
|
ty sinner
|
All times are GMT +5. The time now is 07:03 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.