![]() |
Yuun To Lagta Hai Ke Kismat Ka Sikandar Hai "Faraz"
Yeh Jo Sarguzishta Se Phire Hain Kitaabon Wale In Se Mat Mil Ke Inhein Rog Hain Khwaabon Wale Ab Mah-o-Saal Ki Mohlat Nahi Milne Wali Aa Chukay Ab to Shab-o-Roz Azaabon Wale ... Ab to Sab Dashna-o-Khanjar Ki Zubaan Bolte Hain Ab Kahan Log Muhabbat Ke Nisaabon Wale Jo Dil Par Hee Kabi Naqb Zani Karte Thay Ab Gharoon Tak Chalay Aaye Woh Naqaabon Wale Zinda Rehne Ki Tamanna Ho To Ho Jate Hain Faakhtaaon Ke Kirdaar Bhi okaabon Wale Na Mere Zakhm Khile Na Tera Rang-e-Hina Ab ke Mosam Hee Nahi Aaye Gulaabon Wale Yuun To Lagta Hai Ke Kismat Ka Sikandar Hai "Faraz" Magar Andaaz Hain Sab Khaana Khraabon Wale |
Re: Yuun To Lagta Hai Ke Kismat Ka Sikandar Hai "Faraz"
Na Mere Zakhm Khile Na Tera Rang-e-Hina Ab ke Mosam Hee Nahi Aaye Gulaabon Wale Zaberdast |
Re: Yuun To Lagta Hai Ke Kismat Ka Sikandar Hai "Faraz"
Thanks For liking
|
All times are GMT +5. The time now is 08:07 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.