![]() |
Teri qurbatain bhi saraab hen, ye bhala hua jo mili nahi
Teri qurbatain bhi saraab hen, ye bhala hua jo mili nahi
Teri dooriyan bhi azaab hen meri dasht-e-jan se tali nahi Kisi aag ne wo dhuaan dia, mujhay dekhnay bhi kahan dia Wo musaafaton ka jahan dia kahin raasta hai kahin nahi Mujhay zindagi wo diya lagay ke abhi bujhay jo hawa lagay kabhi kya lagay kabhi kya lagay kisi zaaviye pay yaqeen nahi Ke shikasta-pa main rukoon kahan, hai ye faaslon ka naya jahan hai agar zameen nahi aasmaan ,hai jo aasmaan to zameen nahi Pas-e-chashm-e-nam wo zaroor hai, mera dil jafaaon se choor hai Meri manzilon ka qasoor hai tere raaston se mili nahi |
Re: Teri qurbatain bhi saraab hen, ye bhala hua jo mili nahi
V Nice
|
Re: Teri qurbatain bhi saraab hen, ye bhala hua jo mili nahi
thanks
|
All times are GMT +5. The time now is 04:38 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.