![]() |
judaii ki paanchveein saalgirrah
judaii ki paacnvein saalgirrah dil mein hai aaj ki shab jaag k kaati jaye wou jo aankho sy parey ajanbi des ki gumnam hawaoon mein kahien baithi hai kya mubbt k liye yeh zarori hai k main oss k chahrey k khudd-o-khaal mein ja kar dekhoon such tou yeh hai k yaad nai hai mujh ko oss ki jabeen kaisi thi oss k hont kaisy thy badan kaisa tha aankehin kaisi thi bas yeh yaad hai k wou jaisi nazr aati thi oss sy kahien achi thi yeh maah-o-saal ka tofaan boht zaalam hai wou agr pass b hoti tou kissy ilam hai k wou kaisi hoti gham ki zanjeer bhala kaagty sochty rehny sy kaha mittitii hai yeh jo aahat hai abhi b tery qadmoo ki sada lagti hai jub b kbhi koyi jahaaz uraan liye bechain hwaoon sy guzzrta hai tou dil shaam-e-furqaat sy tarp outthta hai sham-e-furrqat jo haqeeqat hai magr khawab numma lagti hai chand jub abr k takroun mein safar karta hai tou youn lagta hai main b abr ka EK tukra houn jissy tera visaal ek lamy ki rafaaqt mein mila aey mery guzzry howey chand mujhy tera vaasaal daahni hijrr ka an doozey maslsal ki evaz naseeb howa hai aey mujhy aber ka tukrey ki tarrah chor ka jaaney waley tery bakshy howey lamhy k evaz mujhy kitna dena paraa khud ko kitna ganwwan para iss sy koyi sarroo kar nai hai paacnveein saalgiraah aaj juddi maanao shab bhar shaam-e-furqaat ki tarrah ashak bahaoo shab bhar tera rukhsaat ka samaa dhiyaan mein laooun shab bhar tou jo routi hoie aankho sy mujhy sy judaa hoie sochta houn kiyu aaj ki shab aankho mein aanso la kar guzzrrii jaye tujh sy bichr howey lamhy ki qasm tujh sy bichr k ab jiya nai jata yeh gham hum sy aur saha nai jata yeh judaaii aur bardaash nai hoti tumhri judaai mein tumhry hijrr mein aankhoo sy girrey aansoon ab hum sy aur piye nai jaaty aa jao k ab tou sansien b oukkhrr rahi hein |
Bohat khoob
|
thnx safa g
|
Re: judaii ki paanchveein saalgirrah
Nice
T 4 S |
Re: judaii ki paanchveein saalgirrah
Thnxxxxxxxx
|
All times are GMT +5. The time now is 07:43 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.