![]() |
Husn Ghamzay
Husn ghamzay ki kashakash se chhuta mere bad, Baare, aaraam se hain ehl e jafa mere bad Munsib e sheeftegi ke koi qaabil na raha, Hoi ma'azouli e andaaz o ada mere bad Shamma jalti hai to us mein se dhuwan uthta hai, Shola e ishq siyah posh huwa mere bad Khoo'n hai dil, khaak mei, ahwal e butaa'n par, yane, Un ke nakhun hoye muhtaaj e hina mere bad Hai junoo'n ehl e junoo'n ke liye aaghosh e wida'a, Chaak hota hai girebaa'n se juda mere bad Gham se marta hun ke itna nahi dunya mei koi, Ke kare ta'aziyat mehr o wafa mere bad Aaye hai be kasi e ishq pe rona Ghalib, Kis ke ghar jayega selaab e bala mere bad |
Re: Husn Ghamzay
kiya baat hey .... great
|
Re: Husn Ghamzay
Thankss Tashii
|
Re: Husn Ghamzay
nice sharing
|
Re: Husn Ghamzay
great.
|
Re: Husn Ghamzay
bahut umdaa
|
All times are GMT +5. The time now is 10:06 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.