![]() |
-- araish e khayal b ho dilkusha b ho --
araish-e-khayal bhi ho dilkusha bhi ho wo dard ab kahan jise ji chahta bhi ho ye kya k roz ek sa gam ek si ummid is ranj-e-bekhumar ki ab inteha bhi ho ye kya k ek taur se guzre tamam umr ji chahta hai ab koi tere siwa bhi ho Tute kabhi to khwab-e-shab-o-roz ka tilism itne hujum main koi chehra naya bhi ho diwangi-e-shauq ko ye dhun hai in dinon ghar bhi ho aur be-dar-o-diwar sa bhi ho juz dil koi makan nahi dahar main jahan rahzan ka khauf bhi na rahe dar khula bhi ho har zarra ek mahmil-e-ibrat hai dasht ka lekin kise dikhaun koi dekhta bhi ho har shay pukarti hai pas-e-parda-e-sukut lekin kise sunaun koi hamnawa bhi ho fursat main sun shaguftagi-e-guncha ki sada ye wo sukhan nahi jo kisi ne kaha bhi ho baitha hai ek shakhs mere pas der se koi bhala-sa ho to hamain dekhta bhi ho bazm-e-sukhan bhi ho sukhan-e-garm k liye taus bolta ho to jangal hara bhi ho.... |
v nice
|
|
its my pleasure
|
NP
|
Bohat khoob
|
ty
|
nice
|
nice
|
All times are GMT +5. The time now is 05:05 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.