![]() |
Ab kaun se mausam se koii aas lagaye ~ Parveen Shakir
Ab kaun se mausam se koii aas lagaye ab kaun se mausam se koii aas lagaaye barsaat men bhi yaad nahi jab un ko ham aaye mittii ki mahak saans ki Khushbuu men utar kar bhigay hue sabzay ki taraaii men bulaaye dariya ki tarah mauj men aayii huii barkhaa zardaaii huii rut ko haraa rang pilaaye bundon ki ChhamaaChham se badan kaanp rahaa hai aur mast havaa raqs ki lay tez kiye jaaye shaakhen hain to woh raqs men, patte hain to woh ram men paani ka nashah hai k, darakhton ko charhaa jaaye har lahar ke paavon se lipatne lagay ghungharuu baarish ki haseen taal peh paazeb jo Chhankaaye anguur ki belon peh utar aaye sitaare rukti huii baarish ne bhi kyaa rang dikhaaye Parveen Shakir |
Re: Ab kaun se mausam se koii aas lagaye ~ Parveen Shakir
Nice..
|
Re: Ab kaun se mausam se koii aas lagaye ~ Parveen Shakir
Gr888..
|
Re: Ab kaun se mausam se koii aas lagaye ~ Parveen Shakir
bohat KhOoB Aslam Bro .. :) |
Re: Ab kaun se mausam se koii aas lagaye ~ Parveen Shakir
Beautiful sharing
|
All times are GMT +5. The time now is 05:39 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.