![]() |
-:||:- Ash'aar-e-hayaaT -:||:-
-:||:- Ash'aar-e-hayaaT -:||:- HAYAAT or is k hum-maani alfaaz jaisay k ZEEST or ZINDAGI waghaira say apnay pasandeedah or cheedah cheedah ash'aar likhiye. |
Re: -:||:- Ash'aar-e-hayaaT -:||:-
very nice yaar..keep it up..heheh:shoaby:
|
Re: -:||:- Ash'aar-e-hayaaT -:||:-
Gham-E-Hayat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi,
Chale Aao K Duniya Se Ja Raha Hai Koi, Azal Se Keh Do K Ruk Jaaye Do Ghari K Lye, Suna Hai Aane Ka Waada Nibha Raha Hai Koi, |
Re: -:||:- Ash'aar-e-hayaaT -:||:-
Qaid-e-hayaat-o-band-e-ghum asal mein dono aik hein Mout say pehlay aadmi ghum say nijaat paaye kiun |
Re: -:||:- Ash'aar-e-hayaaT -:||:-
Very nice rose Main apni zaat mein neelaam ho raha hoon qateel Ghum-e-hayaat say keh do khareed laaye mujhay |
Re: -:||:- Ash'aar-e-hayaaT -:||:-
thanks
mujhe aap kiu na samjh sake ye apne dil se pochiye? meri dastan-e- hayat ka.hai warq warq khula hua, mujhe humsafar bhi mila koi,to meri tarhan hi luta hua, kabhi manzilon se hata hua.kabhi qafilon se luta hua, |
Re: -:||:- Ash'aar-e-hayaaT -:||:-
Wujood-e-khaak mein bay-raaz-e-kaainaat hayaat Kaheen hai subh-e-tabassum kaheen pay raat hayaat |
Re: -:||:- Ash'aar-e-hayaaT -:||:-
Very nice rose Ab kahaan almaas-o-neelam, laal-o-gohar zindagi Sakhti-e-haalaat nay ker di hai patther zindagi |
Re: -:||:- Ash'aar-e-hayaaT -:||:-
ye meri kitab-e-hayat hai
ise dil ki ankh se parh zraa main warq warq tere samne tere roo ba roo tere paas |
Re: -:||:- Ash'aar-e-hayaaT -:||:-
wah kiya baat hei both owais and rose (y) . really impressive
|
All times are GMT +5. The time now is 01:37 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.