![]() |
Afghani Dam Kabab...
Ingredients: Qeema (bareek) 1 kg Piyaz (medium size) 2 adad Timatar 1 kg Ghee/Oil 1/2 cup Hari Mirch 10 adad Kali Mirch 1.5 tsp Salt Hasb-e-zaiqa Method: - Piyaz ko bareek kat lein. Kali mirch ko pees lein. 5 adad hari mirch kat lein. - Qeemay main piyaz, kati hoi hari mirch, pissi hoi kali mirch or namak dal kar achi tarah mix karlein. - Ab is qeemay k 4 barey pairey bana lein. - Ab ek barey or phailay howe frying pan main halki si chiknai laga kar qeemay k in pairon ko ache tarah seink lein. - Jab ache tarah seink jayein to inhain utaar kar thanda kar lein. - Ab in parion ko bareek bareek kat lein - Tamataron ko ubaal kar pees lein. - Ek degchi main halka sa oil garam karein. - Ab is main bachi hoi hari mirchein, tamatar, pissi hoi kali mirch or namak dal dein. Ab qeemay k qatlon ko tamatar wali degchi main phela kar dalein or halki aanch per dam dein. - Mazedar afghani kabab tayar hain. Garam garam serve karein |
Re: Afghani Dam Kabab...
Hmm mAzedar
Thanks |
Re: Afghani Dam Kabab...
hmm shukriya lol
|
Re: Afghani Dam Kabab...
Ye Thread Afghani ko share karna chahiay tha laiken usko cooking nae aati naa :D
Fanks Abeee For dis... |
Re: Afghani Dam Kabab...
us ko ati hai cooking kis ne kaha us ko nahi ati??
|
Re: Afghani Dam Kabab...
i dun lyk dumba kabob
|
Re: Afghani Dam Kabab...
haadi bro ap ko toh na meat aur na chicken acha laghta hai :p
|
Re: Afghani Dam Kabab...
veggi n daal zindabaad no fat at all :P
|
Re: Afghani Dam Kabab...
han wo indian logo ki trara..
kale sukhe se lol |
Re: Afghani Dam Kabab...
oye abee na main kalaa hoon na sookha huwa but taking care of ma health :)
|
All times are GMT +5. The time now is 01:14 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.