![]() |
jab kisi ki yaad aaye, tum zara sa roa lena,
jab kisi ki yaad aaye, tum zara sa roa lena, apne roatey chehre ko, baarishon main dhoa lena baarishon ka mausam bhi , jab bura lagey tum ko, or apni shaamain bhi, tum ko tanha lagti hon, ya to chandni raaten, tum sey kuch na kehti hon, us ghari samajh lena , tum ney ek khata ki hai baarishon k mausam main, tum ney jis ko chorra tha, wo hi tum ko pyara tha, tum ney jis ko thukraya, us main dil tumhara tha, ab saza to milni hai baarishon k mausam main , us ki siskiyan tum ko , raat bhar satati hain, us ki sard aahen bhi , dard e dil jagati hain, tum udaas rehtey ho. baarishon k mausam main, jab kisi ki yaad aaye, us ghari samajh lena, aaj tum jo tanha ho, tum sey door reh kar tou, aaj wo bhi tanha hai.... barishon k mausam main"[/ |
Re: jab kisi ki yaad aaye, tum zara sa roa lena,
speechless
thanks G.T |
Re: jab kisi ki yaad aaye, tum zara sa roa lena,
Sukriya Sis..
|
Re: jab kisi ki yaad aaye, tum zara sa roa lena,
Zaberdast
|
Re: jab kisi ki yaad aaye, tum zara sa roa lena,
Thanks U.........
|
All times are GMT +5. The time now is 03:41 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.