![]() |
Woh rooh k sehra mein sarabon ki tarah hai
Gum-gashta mohabbat k, khwabon ki tarah hai
Woh rooh k sehra mein sarabon ki tarah hai Wo zeest k maktab mein nisabon ki tarah hai Parhta hoon usse roz, kitabon ki tarah hai Ab un se khayalon mein hii ho jatii hien baatien Gou beech mein parda sa hijabon ki tarah hai Us shaks k lehjay mein sheeshay ki khanak hai Rug rug mein uterta hai, sharabon ki tarah hai Us shaks k paikar mein hai shaakhon ki lachak si Us shaks ka chehra bhee gulabon ki tarah hai Jo vasal ki raaton mein hai ik mah-e-munaver Furqat mein wohii shaks azabon ki tarah hai |
Re: Woh rooh k sehra mein sarabon ki tarah hai
nice poetry Rose
|
Re: Woh rooh k sehra mein sarabon ki tarah hai
Thanks sehra
|
All times are GMT +5. The time now is 06:27 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.