![]() |
Dil aur sheesha
Dil aur sheesha dono hi tootne waali cheezein hain, farQ sirf itna hai keh sheeshe ke tootne ki aawaz sab sun lete hain magar dil bilkul khamoshi se yun toot jata hai goya kuch huwa hi nahi ho..
Toote huwe sheeshe ke tukre uthaane ki khoshish mein mehaz hath zakhmi hote hain magar dil ke tukre sametne ki khoshish karein tau dil ke zakhm mazeed barh jaate hain. Jab dil toot-ta hai tau insaan ke dil ka aatish-e-fishaan paani ban kar aankhon ke raaste beh jata hai. Log theek kehte hain keh toote huwe dil ki aah saari duniya ko mitaane ke liye kaafi hoti hai jab yeh naazuk shey toot-ti hai tau saari duniya se nafrat hone lagti hai phir insaan apna wajood kho baithta hai kisi ka dil kabhi mat toro, kyun keh dilon mein KhaaliQ-e-HaQeeQi ka basera hota hai. Kitne be-reham hote hain woh log jo doosron ka dil torte hain aur phir iss kaar-e-fazool ko mardangi tassawur karte hain.. |
Re: Dil aur sheesha
Wahh Zabardast Sharing... |
Re: Dil aur sheesha
well said sisa
|
Re: Dil aur sheesha
Gud
T 4 S |
Re: Dil aur sheesha
Gud T 4 S |
Re: Dil aur sheesha
thanks
|
Re: Dil aur sheesha
niCe sharing...
|
All times are GMT +5. The time now is 12:27 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.