![]() |
Doctor Younas Butt Se iqtebaas
*Khawand khud ko majazi khuda samajhta hai issi liay bivi us ki khatar din raat bhi aik kar day woh phir bhi shukriya naheen kehta Kyun k Khuda chahey majazi hi kyun na ho woh yeh lafz naheen keh sakta. *Bach'chay palney aur khawand palney main yeh farq hai KEH Bach'chon ko samjhana mushkal hai aur khawand ko samajhna. *Bach'chay bahar jain to un k bhoolnay ka itna dar naheen hota jitna khawand ka. *Khawand chahta hai keh us ki bivi woh na karey jo woh chahta hai keh humsaey ki bivi karey. *Ghar main bivi ka ziada waqt furniture aur khawand ko jhadney poonchney aur unhain un k asli maqam per rakhney main guzarta hai. *Jis khawand ko us ki bivi azeem kehey yaqeen kar lain us ka naam Azeem ho gha. |
Re: Doctor Younas Butt Se iqtebaas
Gud
T 4 S |
Re: Doctor Younas Butt Se iqtebaas
v nice....
|
All times are GMT +5. The time now is 07:34 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.