![]() |
Sheher -e- Karachi
Mein ye kis k naam likhoon jo alam guzar rahe hain Mere shehar jal rahe hain,mere log mar rahe hain Koi ghuncha ho k gul,koi shakh ho shajar ho Wo hawa -e-gulistan han k sabhi bikhar rahe hain Kabhi rehmaten thi nazil is khita-e-zameen per Wohi khita-e-zameen hai k azaab utar rahe hain Wohi taaeron k jhurmat jo hawa mein jholte the Wo faza ko dekh rahe hain to aaah bhar rahe hain Koi aur to nahe hai pas-e-khanjar aazmae Hameen qatl ho rahe hain ,hameen qatl kar rahe hain (Fi-AmanAllah Karachi) |
Re: Sheher -e- Karachi
sahi hmmm
nice sharing Mahi |
Re: Sheher -e- Karachi
good one Mahi . Now every one happy , this is the real face of democracy in Pakistan .
|
Re: Sheher -e- Karachi
Bohat Pareshan Hay Dil Karachi Kay Liye.. :) Ya Allah Shahr-e-Quaid Ko Aman Ka Gehwara Bana.. :) |
Re: Sheher -e- Karachi
Quote:
No one is Happy Except Anti-Pakistan Elements, and Its Not Democracy.. Ye Puppet Government Hay :) In Ko Koi Sarokaar Nahi Jo Awam Par Beet Rahi Hay Us Say.. :) Dil To Karta Hay Aik Hi Baar Long March Karain Islamabad Tak.. :) |
Re: Sheher -e- Karachi
ALLAH HUMA AMEEN
Sachhh :( Nice Mahi sIS |
Re: Sheher -e- Karachi
Quote:
Bhai yeh puppet government nahi yahi jamhori government hai . as they won by big votes :)) . so kisi sei bhi pouch lo mulk ki sub sei bari jamhori party kaun si hie PPP hai . wake up now or wait for another 60 years just to hope that they gonna change . |
Re: Sheher -e- Karachi
Bhai ye government jaisi bhi hai is k zimmaydaar hum khud hi hein Pehlay hamein apnay aap ko badalna hoga tab ye government bhi badal jaaye gi Hum khud man-mouji rahein or hukumraan maangein Hazrat Umar (R-A-T-A) jaisa Aisa mumkin nahi Kiun k Allah-rab-ul-izzaT nay khulay alfaazon mein keh diya hai ( Jaisi Awaam Hogi Waisay Hukumraan Doon Ga ) Hum kisi ko dosh nahi day saktay kiun k ye government hamaari hi laai hui hai Ager hamein is k khilaaf aawaaz uthaani hai to sab say pehlay apni bay-hisi k khilaaf aawaaz uthaani paray gi Jo k hum logon mein bohat shiddat ikhtiyaar ker chuki hai Kisi k saath kaheen kuch bhi hota rahay hum sirf yehi kehtay rehtay hein k hamaaray mulk ka kuch nahi ho sakta Ager baatein kernay say hi sab kuch hota to aaj abu-jahal k sab say ziyaada muqaam hotay anyways Hum sab hi log bay-hiss ho chukay hein Ager hum ab bhi kuch nahi ker sakein to phir hum kisi ko dosh bhi na dein meray hisaab say abhi hamaaray yahaan aik bara tabqa aisa hai Jis ko halaat say farq nahi perta Jab sab hi log aik category mein aa jaayein gay tab hi kuch badlaao wujood mein aa saktay hein Abhi kisi k tann per kapra hai or kisi kisi k pait mein roti Jab sab hi aik haalat mein mubtila ho jaayein gay tab hi shaayad awaam ko hosh aaye ga Or phir sab aik saath kisi k khilaaf kharay ho sakein gay Or jis din hum log aik saath kharay ho gaye us din koi taqat is government ko nahi bacha sakay gi bhalay wo america hi kiun na ho. |
Re: Sheher -e- Karachi
NicE shaRing........:;cook:
|
Re: Sheher -e- Karachi
Gud................
|
All times are GMT +5. The time now is 12:50 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.