![]() |
Zulf raaton si hai rangat hai ujaalon jesi
Zulf raaton si hai rangat hai ujaalon jesi
par tabiyat wohi hai bhoolne waalon jesi Ik zamane ki rafaqat pe bhi ram-khorda hai us kam aamaiz ki khushbu hai ghazalon jesi Dhoondta phirta hoon logon main shabahat uski ke woh khuwabon main bhi lagti hai khayalon jesi Kis dil azaar musafat se main lota hoon ke hai aansuon main bhi tapak paoon ke chaalon jesi Uski baaten bhi dil awaiz hain surat ki tarhan meri sochen bhi pareshan mere baalon jesi Uski aankhon ko kabhi ghor se dekha hai Faraz sonay waalon ki tarhan jaagne waalon jesi |
Re: Zulf raaton si hai rangat hai ujaalon jesi
NiCe..
|
Re: Zulf raaton si hai rangat hai ujaalon jesi
WoOoow
Nice ...!! |
Re: Zulf raaton si hai rangat hai ujaalon jesi
very good
|
All times are GMT +5. The time now is 11:18 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.