![]() |
Meray mah-o-saal kay beach main koi aisaa lamha gaya nahin
Meray mah-o-saal kay beach main koi aisaa lamha gaya nahin
Tera naam main nay liya nahi tujhay yaad main nay kiya nahin Tera kon sa woh madaar tha jahan gardishain meri ruk gaeen Tera kon sa woh kahyal tha jisay main nay daman diya nahin Mera safar adhoora hi reh gaya mujhay manzilon ka pata nahin Main humsafar usay maana tha kabhi saath jis nay diya nahin Yahan har qadam pe hain haadsay ye khayal hi dil ko thaka gaya Yeh safar keh siraat-e-taaveel hai abhi aik qadam taak utha nahin Yeh meri ana ki hai sarkashi jo wasf aisay sikha gai Main darya hoon jo gira nahi wo pahar hoor jo hila nahin Koi aik aansoo aisa day dar-o-baam apnay saja loon main Tujhay kya khabar meri raah main koi tara, jugnoo, diya nahin Koi be-qarari si aaj bhi meray dil main khaar hai khenchti Koi dard tha jo daba nahi koi aansoo tha jo baha nahin Usay baad barson ke dekh ke yunhi aik lamhay ko kya huwa Koi saans thi jo chali nahin koi zabt hai jo huwa nahin |
Re: Meray mah-o-saal kay beach main koi aisaa lamha gaya nahin
Quote:
Quote:
|
Re: Meray mah-o-saal kay beach main koi aisaa lamha gaya nahin
V Nice..
|
All times are GMT +5. The time now is 12:00 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.