![]() |
Kal raat Shab e tanhaai mei ......
Aksar shab-e-tanhai main ' kuch dair pehlay neend say
Guzri hui dil-chuspian ' Beetay huay din aish kay Buntay hain shama-e-zindagi ' Aur daaltay hain roshni Meray dil-e-sud chaak per Woh bachpan aur wo saadgi ' Woh rona woh hansna kabhi Phir woh jawani kay mazay ' Woh dil lagi woh qehqahay Woh ishq woh ehd-e-wafa ' Woh wada or woh shukriya Woh lazzat-e-bazm-e-tarb ' Yaad aati hain ik aik sab Dil ka kanwal jo roz-o-shab ' rehta shagufta tha so ab Us ka yeh abtar haal hai ' Ik sabza-e-pamaal hai Ik phool kumhlaya hua ' sookha hua bikhra hua Ronda para hai khak per Yun hi shab-e-tanhai main ' Kuch dair pehlay neend say Guzri hui na-kaamiyan ' Beetay huay din ranj kay Bantay hain shama-e-baykasi ' Or daltay hain roshni Un hasraton ki qabr per Jo aarzooain pehlay theen ' Phir gham say hasrat ban gaein Gham doston kay faut ka ' Un ki jawan mot ka Lay daikh sheeshay main meray ' Un hasraton ka khoon hai Jo gardish-e-ayyam say ' Jo qismat-e-nakaam say Ya aish-e-ghum anjaam say ' Merg-e-But-e-gulfaam say Khud meray ghum main mer gaein ' Kis tarha paaon main hazeen Qaboo dil-e-baysabr per Jab aah un ahbab ko ' Main yad ker uthta hoon jo Yun mujh say pehlay uth gaye ' jis tarha taa'ir baagh kay Ya jesay phool aur patiyan ' Gir jain sun qabl khizan Or khushk reh jaye shajr Us waqt tanhai meri ' Bun ker mujassam baykasi Ker deti hai pesh-e-nazar ' Ho haq sa ik weeran ghar Berbaad jis ko chor ka ' Sub rehnay walay chal basay Tootay keewar or khirkiyan ' Chut kay tapaknay kay nishan Pernaalay hain rozan nahin ' Yeh hall hain aangan nahin Perday nahin chilman nahin ' Ik shama tuk roshan nahin Meray siwa jis main koi ' Jhankay na bhoolay say koi Woh khana-e-shali hai dil ' Poochay na jis ko dev koi Ujra hua weeran ghar Aksar shab-e-tanhai main ' kuch dair pehlay neend say Guzri hui dil-chuspian ' Beetay huay din aish kay Bantay hain shama-e-zindagi ' Aur daltay hain roshni Meray dil-e-sud chaak per |
Re: Kal raat Shab e tanhaai mei ......
Wah (y)
|
All times are GMT +5. The time now is 02:19 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.