![]() |
aur Shaam Zara si gehri thi
In hijr zada aur ranjeeda
Aankhon say zara neechay jhuk kar Teri yaad mein bheegay rukhsaron kay Zard kinaron par aa kar Ghabra'ei hui si utri thi Aur thori daIr ko thehri thi Ab yaad nahin teri aankhon mein Koi khwab tha, koei sitara tha Teray honton kay un goshon par Koi lafz tha koi ishara tha Kya shaam kay rastay par ruk kar Teray dill nay mujhay pukara tha? Bas yaad hai itna, jabb dil nay Is umr ki had say kuch peechay Ik baar palat kar dekha tha Raston pay khilay sab phoolon par Ik abr ka saya jhukta tha Aur shaam zara si gehri thi! |
Re: aur Shaam Zara si gehri thi
so natural na! aapka apna hay?
|
Re: aur Shaam Zara si gehri thi
nahi meri soch itni gehri nahi,,,
na merei pass itnei achey alfaaz hain na jazbey |
Re: aur Shaam Zara si gehri thi
Ay lo jee.. kabhi sahi baatien bhi kia karien :s :pp:
|
Re: aur Shaam Zara si gehri thi
sahi batein samjh me nahi ati
jo sahi hota hai wo bus aisey hi hota hai : ) sach itna be qeemat kabhi na tha na be mole hi hojaye... |
Re: aur Shaam Zara si gehri thi
Hain :s I'll cry now.. aam insan bano, aam zabaan may baat kero, U'll feel comfortable" :4:
|
Re: aur Shaam Zara si gehri thi
: )
han bohat aam hooo janta hoo banney sei khaas ho nahi jata koi na honga khiar thanks for replying on this post |
All times are GMT +5. The time now is 07:10 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.