![]() |
Rab pe chor detay hein
Bay sada lafzon main Wajh-e-zindagi keh kay Wasl ki zaroorat par Phir say zor detay hein Aaj aisa kertay hein Zikr wohi kertay hein Naam aur detay hein Zabt ke kinaaron say Dard aan lipta hai Toot'tay kinaaray ab Dard aur detay hein Aaj aisa kertay hein Dard say ulajhtay hein Zabt chor detay hein Taar taar daaman ko Khaar khaar raahon main Ranjishein bhula kay ham Aa kay jor detay hein Aaj aisa kertay hein Khud nahin palat'tay hein Raah mor detay hein Sabz sabz maosam main Laal laal aankhon kay Khwaab ki ragon se ham Khoon nichor detay hein Aaj aisa kertay hein Ye bhi kar guzartay hein Khwaab tor detay hein Aa keh ab duaaon ko Maatami ridaaon main Phir se kar kay alwidaa Mauqa auor detay hein Aaj aisa kertay hein Darya main utartay hein Rab pe chor detay hein |
Re: Rab pe chor detay hein
so nice..........
|
Re: Rab pe chor detay hein
thanks.......
|
All times are GMT +5. The time now is 01:15 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.