![]() |
Mujhe tum se yeh kehna tha !
Mujhe tum se yeh kehna tha ! tumhein itna batana tha ! abhi to kuch nahee badla abhi sab pehle jaisa hai abhi jugnoo nahee roothay abhi taare nahee tootay abhi tum yaad aate ho abhi aansoo nahee sookhay abhi aanchal dhalakta hai abhi takk rang nahee roothay mujhe tum se yeh kehna tha ! shaamein sard ho jayein raahein jalne lagti hain log door ho jayein mohabbat marne lagti hai tumhein yun yaad karne se mujhe wehshat si hoti hai tumhare qarb ki khuwahish dil mein phir sulagti hai abhi sab pehle jaisa hai akele mausam mein ghar se akele jaya nahee kerte jo rasta tanha ker de usay apnaya nahee kerte jo baatein kehna zaroori houn unhein chupaya nahee kerte dard hadd se barh jaye .... yeh waqt laya nahee kerte "Mohabbat kerne walon ko aazmaya nahee kerte" |
Re: Mujhe tum se yeh kehna tha !
v nice
|
Re: Mujhe tum se yeh kehna tha !
thanks siso jani
|
Re: Mujhe tum se yeh kehna tha !
Nice..
|
Re: Mujhe tum se yeh kehna tha !
thanks shayan..
|
All times are GMT +5. The time now is 06:55 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.