![]() |
Shehr-e-Dil ki Galiyoo'n main
Shehr-e-Dil ki Galiyoo'n main Shaam se bhataktay hain Chand k Taman-na-ii Be-qarar Saudaaii Dil Gudaz Tareekii Jaa'n Gudaz Tanhaai Rooh-o-Jaa'n ko Dasti hai Rooh-o-Jaa'n main Basti hai Shehr-e-Dil ki Galiyoo'n main Taak-e-Shab ki bailoo'n per Shabnami Sarshakoon ki Be-qarar Logo'n nay Beshumaar Logo'n nay yaad-gaar chori hai Itni Baat Thori Hai ? Sud-Hazar batein thein Hela-e-Shakebaaii Soraton ki Zebaaii Qamaton ki raanaii In siyah rato'n main Aik bhi na yaad aaii Ja baja bhataktay hain Kis ki raah taktay hain Chand kay taman'naii Ye Nagar Kabhi Pehlay Is Qadar Na weera'n Tha Kehnay walay kahte hain Qarya-e-Nigaraa'n Tha Khai apnay Jeenay Ka Yeh bhi aik samaan tha Aaj Dil main Weerani Abr ban kay Ghir aaii Aaj Dil ko kya Kahiye Ba-Wafa Na Haarjaaii Phir Bhi Log Deewanay Aa gaye hain samjhaanay Apni wehshat-e-dil k Bun liye hain afsanay Khush khayal dunia nay Garmiyaa'n to Jaati hain Woh rutaein bhi aati hain Jab Malool rato'n main Dosto'n ki baton main Jee na chain paye ga Aur oob jaye ga Aahaton say Gonjein gi Shehar-e-Dil ki Pinhaaii Aur chand rato'n main Chandni kay Shedaaii Har bahanay niklein gay Aarzoo ki Gehraii Dhondnay ko Ruswaaii Sard Sard Rato'n ko Zard Chand Bakhshay ga Be-Hisaab Tanhaaii Be-Hijaab Tanhaaii Shehar-e-Dil Ki Galiyoon main .........!! |
Re: Shehr-e-Dil ki Galiyoo'n main
v nice
|
Re: Shehr-e-Dil ki Galiyoo'n main
thanks Ado siso jani
|
All times are GMT +5. The time now is 05:39 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.