![]() |
Woh jazbon ki tijarat thi, yeh dil kuch aur samjha tha
Woh jazbon ki tijarat thi, yeh dil kuch aur samjha tha Usay hansnay ki aadat thi, yeh dil kuch aur samjha tha Mujhay us nay kaha aao nai dunya basatay hain Usay soojhi shararat thi, yeh dil kuch aur samjha tha Hamesha us ki aankhon main dhanak kay rang hotay thay Ye us ki aam aadat thi, yeh dil kuch aur samjha tha Woh meray pass bethi dair tuk ghazlain meri sunti Uaay khud say muhabbat thi, yeh dil kuch aur samjha tha Meray kandhay pe sir rukh ker kaheen kho gai thi wo Yeh ik waqti inayat thi, yeh dil kuch aur samjha tha Mujhay wo daikh ker aksar nigahain phair leti thi Yeh dur perda haqarat thi, yeh dil kuch aur samjha tha |
very nice..
|
nice
|
thanx ruby
|
thanx shah
|
v nice
|
bari daer baad kuch acha laga hay nice
|
All times are GMT +5. The time now is 05:40 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.