![]() |
Ek lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
Ek lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai simte to dil-e-aashiq,Phalay to zamaana hai hum ishq ke maaro'n ka itna hi fasaana hai rone ko nahi koi hansne ko zamaana hai wo aur wafa-dushman,maane hain na maana hai sab dil ki sharaarat hai aankhon ka bahaana hai kya husn ne samjha hai,kya ishq ne jaana hai hum khaaqnasheeno'n ki thokar mein zamaana hai ae ishq-e-junoo'n-pesha!haan ishq-e-junoo'n pesha aaj ek sitamgar ko hans-hans ke rulaana hai ye ishq nahi'n aasaa'n bas itna samajh leeje ek aag ka dariya hai aur doob ke jaana hai aansu to bahot se hain aankhon mein 'jigar' lekin bindh jaaye so moti hai reh jaaye so daana hai. |
very nice..
|
cute ...............
|
super duper ji nice hai
|
Re: Ek lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
Nice..
T 4 S |
All times are GMT +5. The time now is 11:19 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.