![]() |
Yoon tujhe dhoondhne nikle ke na aaye khud bhi
Yoon tujhe dhoondhne nikle ke na aaye khud bhi
Wo musaafir ke jo manzil the bajaaye khud bhi Kitne ghum the ke zamaane se chupaa rakhe the Is tarah se ke hamein yaad na aaye khud bhi Aisa zaalim ke agar zikr ma us ke koii zulm Ham se reh jaaye to wo yaad dilaaye khud bhi Lutf to jab hai ta'alluq ma ke wo shehar-e-jamaal Kabhi kheinche, kabhi khinchta chala aaye khud bhi Aisa saaqi ho to phir dekhiye rung-e-mehfil Sab ko madhosh kare hosh se jaaye khud bhi Yaar se hum ko taghaaful ka gila kyoon ho ke hum Baar'haa mehfil-e-jaanaan se uth aaye khud bhi Ahmad Faraz |
Re: Yoon tujhe dhoondhne nikle ke na aaye khud bhi
Nice..
|
Re: Yoon tujhe dhoondhne nikle ke na aaye khud bhi
WoOoow
Nice ...!! |
All times are GMT +5. The time now is 03:23 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.