![]() |
mujhe apne zabt pe naaz tha
mujhe apne zabt pe naaz tha
mujhe apne zabt pe naaz tha, sar-e bazm raah ye kiya howa meri aankh kaise chalak gai, mujhe ranj hay ye bura howa meri zindagi k charagh ka ye mizaaj koi naya nahi kabhi roshni kabhi teergi, na jala howa na bujha howa mujhe jo bhi dushman-e jaa.n mila, wohi pukhta kaar-e jafa mila na kisi ki zarb ghalat pari na kisi ka teer khata howa mujhe aap kiyu na samajh sake, kabhi apne dill sey bhi pocheye meri dastaan-e hayaat ka tu waraq waraq hay khula howa jo nazar bacha k guzar gay merey saamne sey abhi abhi ye mery hi shehr k log they, merey ghar sey ghar hay milaa howa humain is ka koi bhi huq nahi k shareek-e bazm-e kholoos hon na humarey paas naqaab hay, na kuch aasteen main chupa howa merey aik gosha-e fikr main, meri zindagi sey aziz tar mera aik aisa bhi dost hay, jo kabhi mila na juda howa mujhe ik gali main para howa, kisi badnaseeb ka khat mila kaheen khoon-e dill sey likha howa, kaheen ansoon sey mita howa mujhe hum-safar bhi mila koi tu shikasta haal meri tarha kai manziloon ka thaka howa, kaheen raaste main luta howa humain apney ghar sey chaley howe, sar-e raah umr guzar gae koi justuju ka sila mila, na safar ka huq hi ada howa |
Nice Poetry But Wrong Section :) |
thanks ya i no :( kafi din bad post ki na is lye galti ho gee :(
|
nice siso...
koi bat nahi... |
Nice one..
|
is mein Punjabi kahan hai ?
waise very nice poetry |
v.nice
|
thanks for sharing
per ye punjabi to nahi |
nyce shraing
|
Re: mujhe apne zabt pe naaz tha
nice:)
|
All times are GMT +5. The time now is 06:56 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.