![]() |
Khawaab toot jatay haan
Bheer main zmanay ki,
haath choot jatay hain, dast draaz lehjon main, silwatain si parti hain, ik zara si ranjish se, shak ki zard tehni par, phool badgumaani kay, is tarha se khiltay hain, zindagii say pyaray bhi, ajnabi say lagtay hain!! ghair ban k miltay hain!! umr bhar ki chahat ko, aasraa nahi milta! dashte bay-yaqeeni main, raasta nahi milta! khaamshi kay waqfoon main, baat toot jati hay, aur sira nahi milta! maa’zart kay lafzoon ko, roshni nahi milti! lazzat-e-pazeerai, phir kabhi nahi milti! phool rung waadoon ki, manzilain sukarti hain, raah larnay lagti hay, bayrukhi kay gaaray se, baydili ki matti se, faaslay ki eentoon se, eent jurnay lagti hay! khaak urnay lagti hay! khawab toot jatay hain! wehmon kay saaey say, umr bhar ki mohabbat ko, pal main loot jatay hain! ik zara sii ranjish se, saath choot jatay hain!! bheer main zamanay ki, haath choot jatay hain!! khawab toot jatay hain!!! |
Re: Khawaab toot jatay haan
Quote:
|
Re: Khawaab toot jatay haan
Zaberdast
|
Re: Khawaab toot jatay haan
Quote:
|
Re: Khawaab toot jatay haan
hmm zabardastt
|
All times are GMT +5. The time now is 02:03 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.