![]() |
Kashkol Mairi Zeest Ka Haathon Mein Diya Hai
Kashkol Mairi Zeest Ka Haathon Mein Diya Hai
Ye Bhi Mairey Maabood Ka Andaaz-e-Ataa Hai Aahat Jo Suni Wasl Ki Mainey, To Ye Samjha Yaadon Ke Dareechey Mein Koi Aan Kharra Hai Be-noor Huwa Aaj Mairi Shaam Ka Chehra Shayad Ke Pas-e-Parda-e-Shab Koi Kharra Hai Ekk Weham Hai Mairey Liye Taaron Ke Jazeerey Ekk Dhool Mairey Saamney Manzil Ka Pata Hai Kya Jaaniye Gum Karda Woh Kya Dhoond Raha Hai Har Shakhs Ke Chehrey Ko Jo Woh Parrhta Raha hai Jiss Shehar Ko Chorra Tha Woh Ye Shehar Nahin Hai Khwabon Ka Woh Mosam Na Khayaalon Ki Fiza Hai Har Roz Badalta Hai Kayi Rang Jo Chehra Maloom Nahin Kiss Ke Ye Chehray Ki Adaa Hai ! |
Re: Kashkol Mairi Zeest Ka Haathon Mein Diya Hai
Nice...
|
Re: Kashkol Mairi Zeest Ka Haathon Mein Diya Hai
thanks
|
Re: Kashkol Mairi Zeest Ka Haathon Mein Diya Hai
:Brilliant:
very nice :bu: thanx for sharing keep it up...........:khob: |
Re: Kashkol Mairi Zeest Ka Haathon Mein Diya Hai
bahut umda |
All times are GMT +5. The time now is 01:15 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.